திங்கள், 4 ஆகஸ்ட், 2014

Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya.... Movie:- Kora Kagaz;(1974)




Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya,
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya,
Jo likha tha
Jo likha tha aansoon sang beh gaya
Mera jeevan
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya

Ik hawa jhoonka aaya -2
Tuut dali se phool -2
Na pavan ki na chaman ki
Kiski hai ye bhool -2
Kho gayi kho gayi
Khushboo hawa mein kuch na reh gaya
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya

Udte panchi ka thikana -2
Mera na koijahan -2
Na dagar hai na khabar hai
Jana hai mujhko kahan -2
Ban ke sapna -2
Humsafar ka saath reh gaya
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya

Dukh ke andar sukh ki jyoti
Dukh hi sukh ka gyan -2
Dard sah ke janm leta
Har koi insan -2
Vo sukhi hai -2
Jo khushi se dard sah gaya
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya..
~~~~~~~~~~~
Movie:- Kora Kagaz;
Release date:- 04th May 1974;
Music:- Kalyanji Anandji;
Lyricist:- M. G. Hashmat;
Singer:- Kishore Kumar;
Cast:- Vijay Anand, Jaya Bachchan.
.

கருத்துகள் இல்லை:

கருத்துரையிடுக